Back to Poetry

Being Childlike

October 5, 2026
Being Childlike

Woh bhi kya din the

Jab humaari kishtiyaan aur aeroplane chala karte the

Kya pharak padta tha agar woh kaagaz ke the

Pal mein raja

Pal mein mantri

Pal mein chor

Pal mein sipaahi

Bana karte the

Aur koi pharak nahi padta tha

Ret ke ghar bante the

Aur bulbule udaa Kar khushiyaan

Bandar aur bhalu ghar per naachne aate the

Aaj khud naachte hain

Woh din bhi khoobsurat the

Aaj bhi khubsoorat hai

Agar

Bhaloo se dosti Kar lo

Aur thoda muskara lo

Happiness sutra

Happiness Is being child like

Happiness is rediscovering the wonder I had as a child

 

 

 

Share this poem